Sunday, July 27, 2008

My Favourite Shayaris

Mandiro me Hath Jode jate hai,
Masjido me Hath Failaye jate hai.
Per sirf “DOSTI” hi ek aisa Rishta hai
Jisme Hath Milaye jate hai………….



Koi aankhon aankhon se baat kar leta hain,
Koi aankhon aankhon mein mulakaat kar leta hain,
Mushkil hota hain jawaab dena,
Jab koi khaamosh rehkar bhi sawaal kar leta hain.


Door Hain Tumse To Koi Gam Nahi,
Door Rahakar Bhi Bhulne Wale Hum Nahi,
Roz Mulakat Na Ho Paye To Kya Hua,
Tumhare Yaad Mithi Mulakat Se Thoda bhi Kam To Nahi


Lafz aap do, geeth hum banayenge
manzil aap pao, raasta hum banayenge,
khush ap raho khushiyan hum dilayenge ,
ap bas dost bane raho, dosti hum nibhayenge


Kaushis Bahut ke dil ko samjane ke,
Aankhon ko kasam de so jaane ke,
Bahut samjhaya phir bhi aankhen nahi soyi,
soyi tab jab maine baat ke aap ke khawab me aane ke


Khamos Palko se bahkar jab aasu bahar aate hai,
Aap kya jano aap kitna yaad aate ho,
Aaj bhi us mod pe khade hai,
Jaha aapne kaha tha ruko hum abhi aate hai.


Shaam dhali kaali raat aayi
Dil dhadka tumhari yaad aayi
Meine uss hawa ko mehsus ki
Jo tumhe chukar mere paas aayi



Dil ka aashiyana hum nahi sajate
baggoo main fool hum nahi khilate
hamari ek pasand se toot jayenge hazaro dil
tabhi toh hum boy friend nahi banate


Zindagi kisi ki amanat nahihoti,
Amanat mai kabhi kayamat nahi hoti,
dil ko sambhal ke rakhna DOST…..
Ishq ki jail mai kabhi jamanat nahi hoti.


Niggahein aapki Pehchan hai hamari,
Muskarahat aapki shaan hai hamari,
Rakhna hifazaat aap apne ko,
kyunki saanse aapki, jaan hai hamari….



Khamoshi Me Suno Wo Awaz Hamari Hogi,
Zindagi bhar Saath Rahe Wo Dosti Hamari Hogi,
Duniya Ki Har Khushi Ek Din TUmhari Hogi,
Kyuki Isake Liye Dua Hamari Hogi……………..


Aapi nigahon mein jabse dekha hain,
Koi bhi aaina accha nahi lagta,
Apki mohabbat pe Aise hue hain aashiq,
Ki aapko koi aur dekhe toh accha nahi lagta……..


Dua Karte he teri duniyame koi gam naho,
Dua karte he teri muskan kabhi kam naho,
agar kabhi tere palkome aasu aye,
to dua karte he uski vajah kabhi hum na ho.


log kehte hai hum jisse pyar karte hai
woh chand ka eik tukda hai
magar hum kehte hai
jisse hum pyaar karte hai chand uska eik tukda hai